Maulana Rumi Quotes in Urdu

Ap Logon ny Maulana Rumi ky quotes deikhny kylie bohut website deikhi hongi lakin apko apky pasand ky mutabik iktbasaat nhi mily islie apny meri website ko khola hai to main umeed kerta hun apko meri website per wo quotes mil jaye gy jo apko chaiye. Mainy Rumi Quotes ko khaas ker urdu zubaan main die hain or roman english ky sath bhi keiunky in zuban main bohut kaam website hain jinhon ny in zuban per dhiyan dia ho.

Akser urdu or roman english main maulana rumi ky quotes nhi milty websites per lakin main apky lie laya hun wo bhi khoobsurat images ky sath ap in images ko Apna name dyker use kersakty hain mujhy koi dikat nhi meri traf sy apko ijazat hai.

Maulana Rumi Quotes 


Maulana Rumi Quotes in Urdu

تمہاری غلطیاں بھی تمہیں سچائی تک لے جا سکتی ہیں۔

Tumhari galti bhi tumhain suchai tak ly ja sakti hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

چالاکی اور دھوکے کی فکر مت کرو۔
اگر کچھ لوگ تمہیں جال میں پھنسانے کی کوشش کرتے ہیں۔

Chalaki or dhoky ki fikr mat karo.
Ager kuch log tumhain jaal main phansaany ki koshish kerty hain.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

جب دنیا والے تمہیں گھٹنے ٹیکنے پر مجبور کردیں تو یہی بہترین وقت ہے،سجدے کا!

Jab dunya waly tumhain guthny teekny per majboor kerdein to yahi behtreen wakt hai,sajdy ka!

Maulana Rumi Quotes in Urdu

پتھر موسم بہار میں بھی سرسبزو شاداب نہیں ہوتا خاک بن جائو تاکہ تم سے رنگ برنگے پھول جنم لیں۔

Pather mosam bahar main bhi sersabz shadaab nhi hota khaak ban jao taky tum sy rang brangy phool janam lein.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

روح جب تک جسم کی قید میں ہے اداس رہے گی یہ دنیا اس کا گھر نہیں ہے۔

Rooh jab tak jism ki kaid main hai udaas rahy gi ye dunya iska Ghar nhi hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

زندگی میں کبھی بھی اپنے ہنر پر غرور مت کرنا کیونکہ پتھر جب بھی پانی میں گرتا ہے تو اپنے ہی وزن سے ڈوب جاتا ہے۔

Zindagi main kabhi bhi apny huner per garoor mat kerna q ky pather jab bhi pani main girta hai to apny hi wazen sy doob jata hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

زندگی میں تین لوگوں کو کبھی مت بھولنا مصیبت میں ساتھ دینے والوں کو مصیبت میں ساتھ چھوڑنے والوں کو اور مصیبت میں ڈالنے والوں کو۔

Zindagi main teen logon ko kabhi mat bhoolna museebat main sath deny walon ko museebat main sath chorny walon ko or museebat main dalny walon ko.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

جہاں دوسروں کو سمجھنا مشکل ہو وہاں خود کو سمجھا لینا بہتر ہے۔

Jahan dusron ko samjhna mushkil hojaye wahan khud ko samjha lena behter hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

عقلمند اپنے فیصلے خود کرتا ہے،جاہل عوام کی رائے پر عمل کرتا ہے۔

Akalmand apny faisly khud kerta hai,jahil awam ki rahy per amal kerta hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

لوگ بارش سے بھاگتے ہیں لیکن پانی کے بڑھے تب میں بیٹھے رہتے ہیں۔

Log barish sy bhagty hain Lakin pani sy bhrey tab main bethy rehty hain.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

ہو سکتا ہے ہر کوئی اچھا نہ ہو،لیکن ہر ایک میں ہمیشہ کچھ نہ کچھ اچھا ہوتا ہے کبھی کسی کا فیصلہ جلد نہ کرو کیونکہ ہر نیک کا ایک ماضی ہوتا ہے اور گنہگار کا ایک مستقبل ہوتا ہے۔


Ho sakta hai her koi acha na ho,lakin her aik main humesha kuch na kuch Acha hota hai kabhi kisi ka faisla jald na karo keiunky her naik ka aik maazi hota hai or gunahgaar ka aik mustakbil hota hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

صرف ایک چیز جس کا میں مقابلہ نہیں کرسکتا ہوں وہ ہے فتنہ۔

Sirf aik cheez jis ka main mukabla nhi kersakta hun wo hai fitna.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

میرا مشورہ یہ ہے جو تم آج کرسکتے ہو وہ کل کبھی نہ کرو تاخیر وقت کا چور ہے۔

Mera mashwra ye hai jo tum aaj kersakty ho wo kal kabhi na karo takheer wakt ka chor hai.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

ہر کوئی دنیا کو بدلنے کا سوچتا ہے لیکن خود کو بدلنے کا نہیں سوچتا۔

Her koi dunya ko badalny ka sochta hai lakin khud ko badalny ka nhi sochta.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

میں پوری دنیا چاہتا تھا یا کچھ بھی نہیں۔

Main puri dunya chahta tha ya kuch bhi nhi.


Kia apko wo quotes mily jinki apko talash thi ager mil gaye hain to apni rahy zaroor dein comment main.

Post a Comment

0 Comments