Arsto ky quotes perhny sy pahly ap arsto ki tarikh ko per hain phr hum quotes ki traf chalty hain Arsto kadeem yoonan ka aik azeem falsafi or saincedan tha Jo takreeban 384 kabal maseeh main paida hua tha. Isy magrabi falsafy ka baap samjha jata hai inhon ny bohut si kaam kie Jaisa ky Mantiq, Akhlaqiyat Siyasat wagera arsto Aflaton ka Shagird tha wo Aflaton ky pass 20 saal talib ilm raha phr ustad raha.
Arsto Sikandar-e-Azam) ka ustad bhi tha arsto ny 16 saal ki umer sy sikander ko taleem di falsfa science or siasat ki. Mainy Jo apko Bataya hai ye mukhtaser hai Ager ap ko arsto ki azeem shaksiat or Kam ko mukamal tor per samajhna hai to mazeed mutalia kerny ki zaroorat hai. Chalo hum apny mazmoon ki traf wapis chalty hain mainy apko urdu main or Roman angreizi main quotes die hain Arsto ky or roman english main islie quotes die taky India jaisy or country ky log bhi is article ko perh saky.
Baat ye pesh ati hai ky humain arsto ky quotes q perhny chaiye to iska maksad ye hai ky ye aik mashoor falsafa or siasat ky janeny waly hain inhon ny apni zindagi laga ker ye akwal likhy hain inky ye akwal perh ker hum apni knowledge main azafa kersakty hain.
Arsto Quotes
Arsto Quotes in Urdu |
جو شخص تحصیل علم کی سختیاں برداشت نہیں کرتا، اسے۔۔؟
Arsto Quotes in Urdu |
زندگی کی سب سے بڑی فتح نفس پر قابو پانا ہے۔اگر نفس نے دل پر فتح پالی تو سمجھ لو دل مردہ ہے۔
Zindagi ki sab sy bari fatah nafs per kabun pana hai.ager nafs ny dil per fatah pali to samajh lo dil murda hai.
Arsto Quotes in Urdu |
کتنا برا ہے وہ انسان! جو اس بات کی پرواہ ہی نہ کرے کہ لوگ اس سے دیکھ رہے ہیں۔
Kitna bura hai wo insaan! Jo is Baat ki perwah hi na krey ky log isy deikh rahy hain.
Arsto Quotes in Urdu |
مصیبتیں اور دکھ ہمیں اپنی کم ہمتی کی وجہ سے زیادہ خوفناک نظر آتے ہیں۔
Museebatein or dukh humain apni kam himti ki waja sy ziada khofnak nazer aty hain.
Arsto Quotes in Urdu |
وقت ضائع کرتے وقت آپ اس بات کا خاص خیال رکھیں، کہ وقت بھی آپ کو ضائع کررہا ہے۔
Wakt zaya kerty wakt ap is Baat ka khaas khiyal rakhein, ky wakt bhi apko zaya kerraha hai.
Arsto Quotes in Urdu |
جو شخص تحصیل علم کی سختیاں برداشت نہیں کرتا، اسے جہالت کی سختیاں عمر بھر برداشت کرنی پڑتی ہیں۔
Jo shaks tehseel ilm ki sakhtian berdast nhi kerta, isy jahalat ki sakhtian umer bher berdasht kerni perti hain.
Arsto Quotes in Urdu |
ہر ایک چیز نئی معلوم ہوتی ہے، مگر دوستی جتنی پرانی ہو اتنی ہی عمدہ اور مضبوط ہوتی ہے۔
Her aik cheez nai maloom hoti hai, mager dosti jitni purani ho utni hi umda or mazboot hoti hai.
Arsto Quotes in Urdu |
بہترین کیلیے امید رکھو اور بدترین کے لیے تیار رہو۔
Behtreen kylie umeed rakho or badtreen ky lie tiyar raho.
Arsto Quotes in Urdu |
ترقی کے دو پہلو ہیں اپنی لیاقت اور دوسرے کی حماقت۔
Taraki ky do pahlu hain apni liakat or dusry ki himakat.
Arsto Quotes in Urdu |
جو بات معلوم نہ ہو اس کے اظہار میں شرم نہیں کرنی چاہیے۔
Jo Baat maloom na ho us ky izhar main sharam nhi kerni chaiye
Deep Arsto Quotes
Arsto Quotes in Urdu |
لزت کی خاطر گناہ مت کر لذت ختم ہوجائے گی گناہ باقی رہے گا۔
Lazat ki khatir gunah mat ker lazat khatam ho jaye gi gunnah baki rahega.
Arsto Quotes in Urdu |
کوئی تیرے حق میں بدی کرے تو اس کے ساتھ نیکی کرو۔
Koi tery hak main badi krey to us ky sath naiki karo.
Arsto Quotes in Urdu |
جھوٹ بولنے کا نقصان یہ ہے کہ اس کے بعد کوئی سچ بھی بولے گا تو کوئی یقین نہیں کرے گا۔
Jhoot bolny ka nuksaan ye hai ky Is ky baad koi such bhi boly ga to koi yakeen nhi krey ga.
Arsto Quotes in Urdu |
خوشی کا انحصار ہم پر ہوتا ہے۔
Khushi ka inhisar hum per hota hai.
Arsto Quotes in Urdu |
اپنے آپ کو جاننا تمام حکمت کا آغاز ہے۔
Apny ap ko janena tamam hikmat ka agaz hai.
Arsto Quotes in Urdu |
ہم وہی ہیں جو ہم بار بار کرتے ہیں۔ فضیلت، تو، ایک عمل نہیں ہے، لیکن ایک عادت ہے.
Hum wahi hain Jo hum bar bar kerty hain. Fazeelat to, aik amal nhi hai, Lakin aik adat hai.
جتنا آپ جانتے ہیں، اتنا ہی آپ کو احساس ہوگا کہ آپ نہیں جانتے۔
Jitna ap janty hain, utna hi ap ko ahsaas hoga ky Ap nhi janty.
0 Comments